5 منٹ میں 5 مسائل – 5Minute Me 5 Masail Part- 5
اسلام میں نماز کی اہمیت
اسلامی عبادات میں نماز کو سب سے امتیازی مقام حاصل ہے ، اسی امتیازی شان کی وجہ سے اللہ تعالی نے نماز کی فرضیت کا حکم شب معراج میں پیغمبر کو آسمانوں پر بلا کر مرحمت فرمایا (کتاب المسائل:236)
Islam Mein Namaz Ki Ahmiyat
Islami Ibadat Mein Namaz Ko Sab Se Imtiyazi (Aham) Maqam Haasil Hai, Isi Imtiyazi (Aham) Shaan Ki Wajah Se Allah Ta‘ala Ne Namaz Ki Farziyat Ka Hukm Shab-e-Meraj Mein Paighambar Ko Aasmanon Par Bula Kar Aata Farmaaya
نماز برائی سے روکتی ہے
نماز کی ایک بڑی خوبی یہ ہے کہ نمازی شخص کا ضمیر زندہ رہتا ہے جو اسے ہر برے کام سے برا بر روکتا رہتا ہے، اور جلد یا بدیر نماز کی برکت سے بڑے سے بڑے گناہوں سے بچنے کی دولت نصیب ہو جاتی ہے۔ (کتاب المسائل:237)
Namaz Buraai Se Rokti Hai
Namaz Ki Ek Badi Khoobi Yeh Hai Ke Namazi Aadmi Ka Zameer (Nafs) Zinda Rehta Hai Jo Use Har Bure Kaam Se Barabar Rokta Rehta Hai, Aur Jald Ya Ba-Der Namaz Ki Barkat Se Bade Se Bade Gunahon Se Bachna Naseeb Ho Jata Hai
نماز کی چوری
بہت سے نماز کے پابند حضرات لمبی عمریں گزر جانے کے باوجود اپنی نماز کی اصلاح کی فکر نہیں کرتے ، اور ہر نماز جلد از جلد اور کم سے کم وقت میں ٹرخانے کی کوشش کرتے ہیں، حالاں کہ ایک روایت میں ہے کہ آنحضرت ﷺ نے ارشاد فرمایا کہ : ” لوگوں میں سب سے بدترین چوری کرنے والا وہ شخص ہے جو اپنی نماز میں چوری کرتا ہے ۔ حضرات صحابہ نے عرض کیا کہ حضرت انماز کی چوری کیسے ہوتی ہے؟ تو آپ ﷺ نے ارشاد فرمایا کہ : ” ( نماز کا چوروہ ہے جو ) نماز کے رکوع اور سجدہ پورے نہ کرے (یعنی بس جلدی جلدی ادا کردے) ۔ (انترغیب والترہیب ا/ ۱۹۸)
Namaz Ki Chori
Bahut Se Namaz Ke Paaband Hazraat Lambi Umar Guzar Jaane Ke Bawajood Apni Namaz Ki Islaah (sahi Karne) Ki Fikr Nahi Karte, Aur Har Namaz Jald Se Jald Aur Kam Se Kam Waqt Mein Padhne Ki Koshish Karte Hain, Haalaan Ke Ek Riwaayat Mein Hai Ke huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaaya Ke: “Logon Mein Sab Se Bad-tareen Chori Karne Wala Woh Aadmi Hai Jo Apni Namaz Mein Chori Karta Hai”
Hazraat-e-Sahaba Ne Pucha Ke: Hazrat, Namaz Ki Chori Kaise Hoti Hai? To Aap Ne Irshaad Farmaaya Ke: “(Namaz Ka Chor Woh Hai Jo) Namaz Ke Ruku‘ Aur Sajda Poore Na Kare (Yani Bas Jaldi Jaldi Ada Kar De)”
(At-Targheeb Wat-Tarheeb 1/198)